Friday, September 2, 2011

My open Micchami Dukkdam to Everyone.

Image found on Google, Edited by me. Sorry ;-) Michami Dukkdam! :P

Agar kabhi kisi din maine galti se aapka mann dukhaya ho,


Agar jaante-najaante kabhi kuch galat kaha ho,

Ya kabhi aapke facebook status ko LIKE na kiya ho,


Ya kabhi aapke facebook ke status pe Comment na kiya ho,


Ya kabhi kisi post me aapko jabardasti tag kiya ho,




Ya kabhi aapke tweets ko re-tweet na kiya ho,


Ya kabhi aapke tweets ka reply na kiya ho,


Ya kabhi aapke Google Plus ke status pe +1 na kiya ho,


Ya kabhi uspe Comment na kiya ho,


Ya kabhi Gtalk pe aapke IM chat ka reply na kiya ho,


Ya kabhi aapke kisi mail ka reply na kiya ho,


Ya kabhi mere kisi blog ke articles me galat likha ho,


Ya kabhi bhi mere Mumbai Mirror ke articles me galat likha ho,


Ya kabhi mere DNA ke articles me kuch galat likha ho,


Ya kabhi mere facebook status pe galat likha ho,


Ya kabhi mere blog pe Anna ke khilaaf likha ho,


Ya kabhi corruption ke rally me aapka saath na diya ho,


Ya kabhi aapke sms ka reply na kiya ho,


Ya kabhi aapke call receive na kiya ho,


Ya kabhi Priya / Parvati Agarwal ko bura kaha ho,


Ya kabhi “Bade ache lagte hein” ke khilaaf kuch galat kaha ho,


Ya kabhi khudke “shameless self-promotion” se aapko pakkaya ho,


Ya kabhi derasar me aapko choddke bacchon ke group me baithoon aur aapko dhyan na diya ho,


Ya kabhi kisi kaam me aapko help na kiya ho,


Ya kabhi Mumbai aake aapke ghar pe ek chakar na lagaya ho,


Ya kabhi laptop ki battery bhoolke recharge na kiya ho,


Ya kabhi mere paas mobile hoke bhi aapke mobile ki currency use ki ho,


Ya kabhi coffee shop me coffee peeke, bill aapse pay karvaya ho,


Ya kabhi mere lengthy articles se aapko full on pakkaya ho,


Ya kabhi aapko galat shares khareedne keliye kaha ho,


Ya kabhi aapke shares meri vajah se auction ke liye gaye ho,


Ya kabhi aapko zyada brokerage charge kiya ho,

 
Ya kabhi Farmville pe aapko farming items na diye ho,


Ya kabhi aapke farm ko harvest / fertilize na kiya ho,


Ya kabhi aapke farm ki murgi ko chara na diya ho,


Ya kabhi zynga poker me aapko coins/chips na diye ho,


Ya kabhi aapko Income Tax ki galat knowledge de ho,


Ya kabhi aapka Income Tax na bachaya ho,


Ya kabhi sales tax ki raid me aapki ya VAT officer ki vaat lagayi ho,


Ya kabhi bike race me aapko haarraya ho,


Ya kabhi aapko raat ke 3 baje utha ke good night kaha ho,


Ya aisa kuch bhi ki ho joh maine upar nahi likha,


Ya aisa kuch bhi kiya ho jiski vajah se aapki vaat lagi ho,


Toh bhai please maaf karna, nanni si jaan hoon me, nanna munna raahi hoon me, bacche ki jaan loge kya? :P :P


Michaami Dukkdam! :P :P


Abhi aap iss blog ko LIKE, Comment aur share na karke galti mat karna.. Jaldi se Comment kijiye, LIKE kijiye, aur share karna mat bhoolna ;-)

Thank you :P :P

2 comments:

  1. Michammi Dukadam.....
    Yeh sab padh ke toh koi bhi maaf kar dega tuje :P

    ReplyDelete
  2. hahahaha :P lol =)) Micchami Dukkdam ;-)

    ReplyDelete